§1. Bādal (sāneṭ)

chhāʾe huʾe haiñ chār t̤araf pārah-hā-e abr
āġhosh meñ liʾe huʾe dunyā-e āb-o-rang
mere liʾe hai un kī garaj meñ sarod-e chang
paiġhām-e iñbisāt̤ hai mujh ko ṣadā-e abr
uṭṭhī hai halke halke saroñ meñ navā-e abr
aur qat̤r-hā-e āb bajāte haiñ jaltarang
gahrāʾiyoñ meñ rūḥ kī jāgī hai har umang
dil meñ utar rahe haiñ mire naġhmah-hā-e abr
muddat se luṭ chuke the tamannā ke bār-o-barg
chhāyā huʾā thā rūḥ pah goyā sukūt-e marg
chhūṛā hai āj zīst ko ḳhvāb-e jamūd ne
un bādaloñ se tāzah huʾī hai ḥayāt phir
mere liye javān hai yih kāʾināt phir
shādāb kar diyā hai dil un ke sarod ne!

§2. Ek din—lārins bāġh meñ (ek kaifiyat) arrow_right