§10. Intiqām

us kā chěhrah, us ke ḳhadd-o-ḳhāl yād āte nahīñ
ik shabistāñ yād hai
ik barahnah jism ātish-dāñ ke pās
farsh par qālīn, qālīnoñ pah sej
dhāt aur patthar ke but
goshah-e dīvār meñ hañste huʾe!
aur ātish-dāñ meñ angāroñ kā shor
un butoñ kī be-ḥisī par ḳhashmgīñ
ujlī ujlī ūñchī dīvāroñ pah ʿaks
un farangī ḥākimoñ kī yādgār
jin kī talvāroñ ne rakkhā thā yahāñ
sang-e bunyād-e farang!

us kā chěhrah us ke ḳhadd-o-ḳhāl yād āte nahīñ
ik barahnah jism ab tak yād hai
ajnabī ʿaurat kā jism,
mere "hoñṭoñ" ne liyā thā rāt bhar
jis se arbāb-e vat̤an kī be-basī kā intiqām
vuh barahnah jism ab tak yād hai!

arrow_left §9. Shāʿir-e dar-māñdah

§11. Hamah ūst arrow_right